"Arey Kisi ko yeh address pta hai ?" , puchte hue ek aadmi raaste pe jaa raha tha. Lagbhag 50 saal ka , lambha,kaale baal jismein se ab safed baal jhalakne lage the. Bhagta hua ek road ke corner pe aake hataash sa khadha ho gya aur phir ek ladhke se pucha ,"Arey beta ,yeh address pta hai ?" .Us ladhke ne haath se ishaara karte hue raasta btaaya aur bus mein baith kar chala gya...Woh aadmi apni mazil ki taraf chalta hua, Park pahunch gya.Uske pair bhaari ho rahe the aur man dubaa jaa rha tha par aaj use wahan jaana hi tha kuch dhundhne ke liye, kuch paane ke liye...
Park ka gate uske saamne tha, usne halke se khola aur charo taraf dekha, bahut sundar park tha woh.Har taraf shaanti, fool khile hue the , Bacche khel rahe the, kuch log baithe the, kuch chal rahe the.har taraf chahal pahal hote hue ek shanti thi wahan.
Tabhi usne ek Fountain dekha, woh aaj bhi waisa tha ,22 saal pehle bhi woh is jagah pe aata tha,Aaj bhi uska safed chamakta hua pathar us se kuch keh rha tha.Woh aadmi wahin [e hi baith gya and apni aankhein band kar li ... "Papa, dekho main aa gya , ab pakdo mujhe" . Ek Baccha khelte hue nazar aaya use, kitna khush tha woh suke saath jaise use saari duniya mil gyi ho.
"Arey aap yahan kaise, bade dino baad aapko yahan dekha Sharma ji " , kehti hui ek aaurat uske paas aake baith gyi. Woh bas itna hi keh paaya , " Kuch dhundhne aaya hun aaj". Tabhi ek ball aate hue pairo se takraa gyi aur ek maasom sa baccha paas aake ball maangne lagaa. Usne haste hue us bacche ko ball waapas kar gyi aur phir apne sapno mein kho gya , " Papa, dekho main chup gya, ab dhundho mujhe" .
Kuch saal pehle bhi usne ek sapna dekha tha , " Papa, main jaa rha hun, aap apna khyaal rakhna, main jald hi waapas aaunga ", Kahaa tha uske bete ne jaate hue. India-Pakistan ka yudh tha woh aur uske bete ko seema paar jaana tha apne desh ke liye,apni dharti ke liye.
Aansu to the uski aankhon mein par unhein jhalkane nhi diya aur ba sitna hi kahaa, " Main Tumhara intezaar karunga , Beta".
Aaj subah chai pite hue , bas tahalne nikla tha ki tabhi newspaper mein dekha , " Apni bahaduri se desh ke sewaa karte hue , Major Sumit Sharma, Major Ramkishan, Major Abdul Rehman........ shaheed ho gye".
Aage ke naam to woh padh hi nhi paaya , Use to bas ek hi naam pta tha , Uski jaan to ek hi thi jo ab is duniya se gyaab ho gyi. Aage likha tha , "Sharadhanjali dene ke liye, 2 din baad unke gharwaalon ko India Gate bulaaya jaayega".Woh wahin pe baith gya aur uske kadam chal padhe the is park ki taraf kyunki aaj phir se uska beta kahin chupaa baitha tha aur usne dhundhnaa tha.
Woh uth khadaa hua aur bolaa, " Maine tumhe dhundh liya beta, Maine tumhe dhundh liya beta us hasti hui bacchi mein , us khelte hue chote chote kadamo main jinhe kisi ka dar nhi, jinki tum rakshaa karte the aur safal bhi hue"...
"Main tumhe dhundh liya us maa ki aankhon mein jise pta hua uske bacche waapas sahi salaamat ghar aayenge..."
"Main tumhe dhundh liya us ladhki mein jo khule aakash mein saans le rahi hai aur khush hai..."
"Main tumhe dhundh liya..."
"Main tumhe dhundh liya... "
Hindi :D Wow, nice read!! :P
ReplyDeletegood job,bahut acha likha,senti ho gayi par kar.
ReplyDeleteGood one dear....
ReplyDeleteKeep Sharing your 360 degree imagination.... :)